Surah Ikhlas Ka Taroof
Surah ikhlas bata hai ki Allah subhanahu tala tauheed hai. yani ek hai uska koi shareek nahi. Surah ikhlas ka matlab hota hai bina kisi milawat ke pure chiz. surah ikhlas rab kya hai aur kya nhi isme differentiate karta hai. sari gandgi sari burai sab chiz se pak suratul ikhlas hai. surah ikhlas quran ke 112 number surat hai . yeh surah quran e pak ki 30ve pare me aata hai iss surah ke ander 4 aayate hai .yah surah kehta hai Allah ek hai .Bejod hai uska ko sarik nahi.
Surah Ikhlas Ki Fazilat
Surah ikhlas padhne walo se allah subhanahu tala mohabbat karta hai.surah ikhlas agar koi shakhs padhe to usko quran ka ek thihai hissa padhne ka sawab milega. surah ikhlas se mohabbat aur iski kastrat se tilawat jannat me jane ka wasila hai. 10 bar surah ikhlas padhne wale ke liye jannat me ghar tamil kar diya jata hai. Shaitan ke vasvaso se bachane ke liye surah ikhlas ko padh kar apni bai taraf fukna chahiye.
Surah Ikhlas Ki Tilawat Ka Tareeqa
Surah ikhlas apne rozana ki zindagi me shamil kare apne subha sham ke azkar mein padhe , sote waqt padhe namaz me padhe namaz ke bad wali duao me padhe. Isko chalte firte bhi padhe kyunki iska ek fazilat ye aata hai ki jo iss surah ki tilawat karta hai usse Allah subhanu tala mohabbat karta hai isliye Surah ikhlas ko bahot kasrat se padha kare.
Hadees Mein Surah Ikhlas Ki Ahmiyat
Ayesha razi allahu anha farmati hai ki Allah ke Rasool sallahu alaihi wasallam ne ek insan ke leader me ek lashkar bheja. Wo sahab jab namaz padhate toh akhri surah, Surah Ikhlas padha kar khatam karte the. Aane ke baad logo ne Allah ke Rasool sallallahu alaihi wasallam se ye waqia farmaya. To Rasool Allah ne farmaya ke usse daryaf karo ki wo aisa kyun karta tha. Logo ne un sahab se poocha, unhone jawab diya ke “Yeh Surah Rehman ki sifaat bayan karti hai, isme Rehman ki sifaat bayan hoti hai. Isliye main yeh Surah padhta hoon aur ise pasand bhi karta hoon.” Yeh sun kar Rasool Allah sallahu alaihi wasallam ne farmaya, “Usse jakar bata do ke Allah Ta’ala bhi usse mohabbat karta hai, kyunki wo Allah ke Rehman ki sifaat ke wajah se Surah Ikhlas padhta hai. Allah Ta’ala bhi usse mohabbat karta hai. Jis tarah Surah Ikhlas me Allah ke sifaat ka bayan hai, usi tarah Surah Kafirun me tauheed ka izhaar hai. Namaz me Surah Ikhlas aur Surah Kafirun dono ko padhne se insan ko Allah ki qurbat milti hai.
Musnad Ahmad Hadees Number 8869 se riwayat hai ke Syedna Muaz bin Anas Jahni razi Allah anhu se riwayat hai ke Nabi Kareem sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: Jo shakhs {قُلْ ھُوَ اللّٰہُ اَحَدٌ} yani Surah Ikhlas ko aakhiri tak 10 martaba parhay ga, Allah Ta’ala us ke liye Jannat mein aik mehal tameer karega. Syedna Umar razi Allah anhu ne kaha: Ai Allah ke Rasool! Phir to main bohat se mehal hasil kar sakta hoon. Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: Allah Ta’ala bhi bohat zyada dene wala aur bohat acha inaam dene wala hai.
Surah Ikhlas Ki Aayat Aur Unka Matla
Bismillah hir Rahman ir Raheem
Qul huwallahu ahad
Allahus-samad
Lam yalid wa lam yoolad
Wa lam yakul-lahu kufuwan ahad
Matlab:
Suru karti hu Allah ke nam se jo mehrban aur bar bar reha, farmane wala hai.
- Keh do, bat ye hai ki Allah har lihaza se ek hai.
- Allah hi esa hai ki sab uske mohtaj hai , wo kisi ka mohtaj nahi.
- Na uski koi aulad hai, aur na wo kisi ki aulad hai.
- Aur uske jod { barabar } ka koi bhi nahi.
Akhri Baat: Surah Ikhlas Ki Barakat
Surah ikhlas padhne walo ko allah subhana tala bahot mohabbat karte hai . surah ikhlas padhne aur uski kasrat se tilawat karne se jannat jane ka vasila hasil hoti hai. surah ikhlas 10 bar parhne se allah subhanahu tala uss shakash ke liye jannat me ek ghar tamir karta hai.
Conclusion
Surah ikhlas padhne walon se Allah subhanahu tala bahut mohabbat karte hai. surah ikhlas padhne aur uski kasrat se tilawat karne se jannat me jane ka zariya banta hai. Surah ikhlas ko 10 martaba padhne se allah tala uss shaks ke liye jannat me ek ghar tamir karwata hai . ye surah hame tauheed ka dar deti hai aur hame samajhte hai ki Allah ek hai. bejod hai. aur uska koi sarik nahi hai iss surah ki tilawat karne se hame allah ki rehmat aur barkat nasib hoti hai .
